Blog

Latest News
Most Popular Space Mysteries Ep7 क्या मंगल ग्रह को श्राप मिला है ? सौरमंडल में एक और Planet छिपा है

Most Popular Space Mysteries Ep7 क्या मंगल ग्रह को श्राप मिला है ? सौरमंडल में एक और Planet छिपा है

Most Popular Space Mysteries Ep7 क्या मंगल ग्रह को श्राप मिला है ? सौरमंडल में एक और Planet छिपा है

Subscribe to our new channel: https://www.youtube.com/iamkaushik

fb page: https://www.facebook.com/antarikshTV/
instagram: https://www.instagram.com/antariksh_tv/

Doston, kya aap jaante hain ki solar system me ek aur chhipa hua planet hai? aur main yaha Planet 9 ki baat bilkul nahi kar raha hu. Aapne observe kiya hoga ki hamaare bahut saare mars missions bade hi mysterious dhang se fail ho jaate hain lekin kya aap iske peeche ka kaaran jaante hain? Agar nahi ho aapko aaj ka video bilkul last tak dekhna hoga kyonki Unsolved Mysteries ke episode number 7 me main aapko kuch aise hi mysteries ke baare me btaane wala hun. ye series aap logo ko behad jayada pasnd aarhi hai lekin abhi bhi aapme se kayi log us subscribe button ko nhi dbaa rhe to yar soch kyaa rhe ho channel ko jyada se jyada subscribe karo taaki ham 3 million tak pohuch jaaye aur isi ke sath aaj ke video ke end me aaplogo ke liye ek announcement v hai to video ko end tak dekhna to bntaa hai
Doston, saal 1990 me NASA aur European Space Agency ESA ne saath milkar Ulysses naam ka ek robotic space probe launch kiya tha. Iska maksad tha sun ko orbit karte hue ise alag-alag latitude se study karna. Aapko bata du ki jo bhi spacecrafts sun ko study karne ke liye bheje jaate hain, wo mostly uske equator ke about hi orbit karte hain lekin ye space probe uske poles ko orbit karne waala tha. Saal 1990 se 2009 tak ye mission active raha aur isne hame sun ke baare me bahut kuch aisi baate bataayi, jo hame pehle bilkul bhi nahi pata thi. Isne sun ko total 3 baar orbit kiya tha. Khair yaha par mystery ye hai ki jab Ulysses space probe Sun ke north pole se gujra aur phir south pole se gujra to isne in dono poles ke temperature ke beech me kareeb 80 hazaar degree celsius ka antar record kiya. Ye koi chhote mota difference nahi tha, jise hum instrument ki error kehkar neglect kar de. 80 hazaar degree celsius bahut jyada temperature hota hai. pehle aisa maana gaya ki ye magnetic polarity ke kaaran ho raha hai. aapko shaayad pata hi hoga ki har 11 saa baad sun apne magnetic north aur magnetic south pole ko flip kar leta hai aur iske kaaran solar maximum aur solar minimum ki conditions change hoti rehti hain. par deep studies se ye pata chala ki poles ke beech ke temperature difference ka isse koi lena dena nahi hai. Ulysses space probe ki ye khoj aaj bhi rahasya bani hui hai aur hamaare paas iska koi bhi perfect explanation nahi hai. haalanki kuch scientists ye kehte hain ki sun ke dono poles North pole aur South pole ki internal formation me kuch differences hain aur yahi kaaran hai ki inke temperatures me bhi differences paaye gaye hain.

Written, Edited and Voice by:

[Shubham Jain, Sujit Kumar & Kaushik]
https://www.facebook.com/Kaushik.Antariksh
https://www.instagram.com/luck_kaushik
http://www.instagram.com/itsmesj25
https://www.instagram.com/luck_sujit/

Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for “fair use” for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use.

thegreenbunk

View all posts by thegreenbunk

Shades Of Life

Related Posts

Leave a Reply