Blog

Latest News
ISRO vs NASA Detailed Comparison 2020 | इसरो और नासा कौन है ज्यादा बेहतर ?

ISRO vs NASA Detailed Comparison 2020 | इसरो और नासा कौन है ज्यादा बेहतर ?

ISRO vs NASA Detailed Comparison 2020| इसरो और नासा कौन है ज्यादा बेहतर ?

Subscribe to our new channel: https://www.youtube.com/iamkaushik

fb page: https://www.facebook.com/antarikshTV/
instagram: https://www.instagram.com/antariksh_tv/

Doston, waise to Antriksh se judi kayi saari cheeze hamaare pauraanik grantho me bataayi gayi hain lekin phir bhi aaj hamaari space knowledge ek alag hi level par pahunch chuki hai. Aaj hum insaan space me bahut door tak dekh sakte hain, na jaane hamaari banaayi kitni satellites prithvi ke chakkar kaat rahi hain aur hum future me na jaane kitne hi graho ki sair karne waale hain. Aur in sabka kaaran jaante hain kya hai? Inka kaaran hai hamaare scientists ki mehnat aur lagan. Waise to duniya bhar me kayi saari space agencies hain, lekin jab hum space agencies ke baare me sochte hain, to hamaari jubaan par do hi naam hote hain. Pehla naam hota hai NASA ka aur doosra ISRO ka. Aaj ki is video me main aapke liye inhi dono famous space agencies ka exclusive comparison karne waala hu. Saath hi jaanenge inki history, past missions, current status aur future programs ko bhi.
3 March 1915 ko America me National Advisory Committee for Aeronautics yaani ki NACA ko establish kiya gaya tha. Iska seedha sa kaam tha United States me aeronautical aur space se related research ko encourage karna. NACA ne kuch rocket planes banaaye the aur ek artificial satellite banaane ki taiyaari bhi kar rahi thi par October 1957 me jab Russia ne apni pehli artificial satellite Sputnik-1 ko successfully space me bhej diya, to poore America me sansani mach gayi. American government ko lagne laga ki ye unki national security ke liye khatra ho sakta hai aur wo technological advancement ki field me Russia se peeche chhoot sakte hain. 12 January 1958 ko American President Dwight D. Eisenhower ne apne advisors ke saath ek meeting ki aur sirf do din baad 14 January 1958 ko NACA ke director Hugh Dryden ne Space technology ke liye ek naye National Research program ko shuru karne ka ailaan kiya aur iske fal-swaroop 29 July 1958 ko NASA ki sthaapna hui. us samay ke American President Dwight D. Eisenhower ko NASA ka founder kaha jaata hai. Wahi doosri or ISRO ki kahaani bhi kuch aisi hi hai. Saal 1962 me Bharat ke mahaan scientist Dr. Vikram Sarabhai ke kehne par us samay ke prime minister pandit Jawaharlal Nehru ne Indian National Committee for Space Research yaani ki INCOSPAR ko establish kiya tha. Iska maksad Bharat me space research ke liye ek platform banaana tha aur 1969 me isko hi expand karte hue ISRO ko establish kar diya gaya. Dr. Vikram Sarabhai ko hi ISRO ka founder maana jaata hai. Aaj NASA ka headquarter America ki raajdhaani Washington DC me sthit hai aur iske current administrator James Frederick Bridenstine hain. Wahi ISRO ka headquarter Karnataka ke Bengaluru me hai aur iske head K. Sivan sir hain.

learn #withme #isrovsnasa #antarikshtv

Written, Edited and Voice by:

[Shubham Jain, Sujit Kumar & Kaushik]
https://www.facebook.com/Kaushik.Antariksh
https://www.instagram.com/luck_kaushik
http://www.instagram.com/itsmesj25
https://www.instagram.com/luck_sujit/

More Videos:
रहस्यमई Blackholes जिन्हें कोई देख नही सकता तो फिर हमने कैसे देखा ? How Blackholes were Discovered ?
:https://youtu.be/1CLPTpRjbLw

Jupiter के अंदर डूब कर आपका दिमाग चकरा जाएगा What Would You See If You Fell Into Jupiter?
:https://youtu.be/iYAQKhnexic

प्लूटो के साथ क्या हुआ क्या प्लूटो अब नही रहा ? Why is Pluto not a Planet ?
:https://youtu.be/1yiqr7oOjpA

आपके Smartphones को खराब कर रहा है ये Alien Particles | Alien Particles causing crash our computers
:https://youtu.be/ICU3KQeVgsA

SOCIAL MEDIA:
Facebook :https://www.facebook.com/antarikshTv
Twitter: https://twitter.com/antarikshTv
Instagram: https://www.instagram.com/antariksh_tv

Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for “fair use” for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use.

thegreenbunk

View all posts by thegreenbunk

Shades Of Life

Related Posts

Leave a Reply